BARG-O-BAAR KA MAUSAM
Khayaal-o-Khvaab hu’aa, barg-o-baar kaa Mausam
BichhaR gayaa tirii suurat, bahaar kaa Mausam
Ka’ii rutoN meN mire niim-vaa dariichoN meN
Theher gayaa hai tire intizaar kaa Mausam
Vo narm lehje meN kuchh to kahe,yaa lauT aaye
Sama’atoN kii zamiiN par phuaar kaa Mausam
Payaam aaye haiN, phir eik Sar-e-Qaamat ke
Mere wajod ko khaiNchay hai daar kaa Mausam
Vo aag hai ke merii poor poor jalti hai
Mere badan ko milaa hai chanaar kaa Mausam.

No comments:
Post a Comment